Header Ads

Kinjal Dave Top 10 Most Populars Image

Gujrati Singer Kinjal Dave Most Populars Image In Gujrat Public..Watch Now Jordarr Pic Of Kinjal Dave


☆☆Sad Shayri☆☆
{1}Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!

{2}Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain,
Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain
Zindagi ke safar me sambhal kar chalna
Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai

{3}Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

{4}Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har doon

{5}Ab ho gaya hai aadmi ,
Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah,
Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein
Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!

{6}Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye

{7}Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se,
Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.

{8}Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.
Posted by Bhupendra under Latest Hindi Shayari

{9}Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
Par dua hai us rab se ek hi,
Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum

{10}Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!

{11}Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.

{12}Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.

{13}Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti,
Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti,
Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha,
Himmat hai to bujha ke dikha, jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.

{14}Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

{15}Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti he

{16}Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.

Stay Connected To
www.Dhollywoodking.blogspot.com


No comments